Sunday, July 25, 2010

د رد میں طاقت ہے،یکسو کر دینے کی خوبی ہے، ایک نقطے پر مرکوز کر دینے کی صلاحیت...خوشی میں جذب نہیں , پھیلا دینے کی صلاحیت ہوتی ہے

8 comments:

  1. Very true, pain and sadness grow inside us like a tree very focused. Dard ik shajer ki manind humaray undar barta rehata hay.

    ReplyDelete
  2. hmm...buhat khoob Huma Sahiba...

    App itna acha or pyara kaisay sooch laity hain...?

    Khushi mein yeah khasiyaat hay k woh PHAILTY hay....uss key apni koi shakl nahi hoti woh kissi bhi shaks k mayaar per utar ker us key shakl bana laity hay...khushi iss lehaaz say mujhay pasand hay...k yeah rang say rang pakarti hay...

    Ghum ko app nay ek kernay wala samjha...mere khayaal mein yeah TAFIRKA bharha daita hay...

    Yeah juda kerta hay...her kissi ko khud gharz bana daita hay...
    Orr youn insaan khud ko alag ker laita hay...

    ReplyDelete
  3. Leo Tolstoy's Anna Karenina starts with this line:
    Happy families are all alike; every unhappy family is unhappy in its own way.

    ReplyDelete
  4. thank u akhtar sahib for reading and sharing ur views...
    thinking...beshak khushi mein phailny ki salahiyet hai,aik se dosray aur phir teesray tak..lekin kabhi ghour kya aapne,dard takleef aapki soch ko aik nuktay pe markooz kar daitay hein,uth'tay baith'tay her haal mein aapki soch issi aik nukte pe murtakiz hoti hai,iss ke baad ye aap pe,aap ki achi ya buri fitrat pe hai ke ye dard inteqaam mein khudgarzi mein badle(taqat iss mein bhi hai) ya phir aap apni soch ki concentration ko positive tareeqay se istemal karien
    aapne kabhi ghour kya ke dard ke aalam mein ki janay wali pukar arsh kaise choo leti hai?

    ReplyDelete
  5. hmm...jiss shid-dat say KHUDA ko pukara jata hay DARD mein...agar khushi mein bhi pukara jaye tu arsh tak dua zaror jaye gee....

    Magar mere khayaal mein khuda yaad he dard mein atta hay...kia yeah ghud garzi nahi???

    Mein janty hon...Huma app bikul theek kehty hain...

    Mera shayed soochna he muktalif hay....

    App key gehri sooch ka buhat shukria.

    ReplyDelete
  6. haan,khushi mein bhi pukara jaye agar....lekin yehi hai naa ke khushi aik point pe murtakiz hoti nahin
    thank u THINKING for thinking and sharing ur beautiful thoughts

    ReplyDelete
  7. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  8. @Thinking

    dard mein taaqat hai aur itmenaan ki kayfiyet mein bhi yehi taaqat hai,muhabbat mein bhi yehi taaqat hai,yaksoo kar daine ki mutakiz karne aur aik wahdat mein jor dainy ki taaqat

    ReplyDelete