hira ki goad..
apne 2jahan ke Aaqa (sallalahu alaihay wa aalayhi wassallam)
ke aansouN ki shafiq sarvat
samait kar ..ham se poochti hai ke..
ay woh logo! ke jinnki khatir Khuda ke Mehboob ne hamesha
guhar lutaye hein aansouN ke
woh aik aansoo..ke jisski qeemat
jahaan sara bhi de na paye
woh aik feroz bakht qatra
ke jo harawal hai rehmatoN ka..
woh jisske sadqe mein zindagi ne tumhari jaanib
bahaar lamhoN ke khool rakhe hein sabb dareechay
kabhi ye socha hai tumne logo?!!
ke ehl ho bhi iss ashk ke tum ..
k jo Habeeb e Khuda ki chashm-e-haseeN mein utra
phir aise kitne hi aansoo aaye tumhari khatir
iss aankh mein jo..
Khuda-e-Bartar ki azmatoN ke jamil jalwoN ka aashiyaaN thi..
kabhi yeh socha bhi hai kisi ne?!!
uss aik aansoo ka haq kisi se adaa hua hai?
kabhi yeh poocha hai tumne khud se?
ke uss ke la'iq bhi tumne khud ko bana liya hai?
nidamatoN se jhuki hui gardaneiN hamari
arooq-e-sharmindagi mein gharqaab apne paikar..
sawaal ki pur-jamal sachaiyoN ke maqrooz ho gaye hein....
No comments:
Post a Comment