Thursday, April 9, 2009

"mai"

kya hai ham mein se aksar pe paas..borrowed intelligence aur isska takabbur.."ham jaante hein " ka naa'ra.. aur iss zu'm ke baad mazeed jaan-ne seekh laine ki kya gunjaish?..sabb daleelien bekaar,bemaani..ham jaantay hein,tum nahin jaantay.ham nek,tum badd.ham theek,tum ghalat.ham paidaishi paak,tum nijs..ham "hein",tum "nahin ho".yeh ke "mai" ne dunya aur deen ko jaisa samjha sabb theek so "tum" pe laazim hai ke meri baat tasleem karo..merekahe pe sarr jhukao..kyun ke "mai" ne aisa samjha..iss liye yeh theek hai..ghalati ki gunjaish nahin..samajhne ki gunjaish nahin..sabr nahin,bardasht nahin..dosre ki baat sun-nay ka takalluf bhi nahin,taslim karna doar ki baat..ghalati ki darusti tabb hi ho sakti hai jabb ghalati ka ehsaas ho..aur yeh ehsaas ke "ham" se koi ghalati bhi ho sakti hai..hidayet unnhi ko milti hai jo hidayet paana chahte hoon..aur jo apne zu'm mein "sabhi kuch" hoon..woh "kuch nahin" hote..

No comments:

Post a Comment