Friday, April 10, 2009

sabr

sabr aazadi hai her khawhish se aazadi..
aur hamari tamanna hamari aaqa hai..jitna zabardast aaqa ho ghulam ko utna hi farmaNbardar hona parta hai..

Thursday, April 9, 2009

"mai"

kya hai ham mein se aksar pe paas..borrowed intelligence aur isska takabbur.."ham jaante hein " ka naa'ra.. aur iss zu'm ke baad mazeed jaan-ne seekh laine ki kya gunjaish?..sabb daleelien bekaar,bemaani..ham jaantay hein,tum nahin jaantay.ham nek,tum badd.ham theek,tum ghalat.ham paidaishi paak,tum nijs..ham "hein",tum "nahin ho".yeh ke "mai" ne dunya aur deen ko jaisa samjha sabb theek so "tum" pe laazim hai ke meri baat tasleem karo..merekahe pe sarr jhukao..kyun ke "mai" ne aisa samjha..iss liye yeh theek hai..ghalati ki gunjaish nahin..samajhne ki gunjaish nahin..sabr nahin,bardasht nahin..dosre ki baat sun-nay ka takalluf bhi nahin,taslim karna doar ki baat..ghalati ki darusti tabb hi ho sakti hai jabb ghalati ka ehsaas ho..aur yeh ehsaas ke "ham" se koi ghalati bhi ho sakti hai..hidayet unnhi ko milti hai jo hidayet paana chahte hoon..aur jo apne zu'm mein "sabhi kuch" hoon..woh "kuch nahin" hote..

gham

sehte sehte khulta hai ke khua kitna dana-o-bina insaan ho..kitna hi bahadur aur ba-himmat ho..ghamoN ki dhoop mein jalte jalte ..haq kehne wali zuban aur sabr ki takeed karte kuch lafzon ki chaaouN darkaar hoti hai..koi aik khuloos ka rishta jo yaqeen aur aitemaad ki inteha pe khuloos aur apnaiyet ka ehsaas dilata ho.. tabb hi tou dukh ke pahaar kaat ke raasta nikalta hai..tabb hi tou zindagi ka bojh halka lagta hai..ranj-o-gham tou her insaan ke liye hai..kaheen kam kaheen zyada..yehi tou khumar-e-gandum ka taryaaq hai.. kaat hai.. aur gham se nidhaal insaan ki zaroorat..haq bolne wali zuban aur sabr ki takeed kate lafz..warna woh gandum khanay se bara gunaah kar baithe..yani haram maut marr jaye..ehsaas-e-tanhai se pagal ho karr..
~Rifat Siraj

Monday, April 6, 2009

sharr

aik Hadees e Rasool sallalahu alaihay wa aalayhi wassallam nazr se guzri..mafhoom.. "dosroN ko apne sharr se bachao ,yeh bhi aik tarah ka sadqa hai"..
'apna shar'..abb yeh yahan kaun maanta hai ke hamaray qoul aur amal mein kaheen "sharr" bhi hai.. aur her insaan mein sharr aur khair tou hai hi..kisi mein kam kisi mein zyada.. mukammal khair tou sirf Nabiyon aur PaighambaroN (alayhay salam) ki zaat hua karti hai.. aur "kamil khair"..mojassam rehmet hamaray Nabi sallalahu alayhay wassallam..
baki ..taslim kya jaye ya nahin..her kisi ki zaat mein sharr ka kuch hissa tou shamil hai hi..jhoot,hasad, sabb hi negative feelings sharr hi hien..aur dosron ko iss se bachana..hamara,hamari zaat ka sadqa.. hidden blessings..
apne hi maaN baap ko mohabbat ki nazr se dekh laina bhi neki.. bhai se muskura ke milna,muskurahat bhi sadqa..chotti chotti baaton pe marks milte jatay hein ..aur kat-te bari bari baatoN pe hien..yehi bhi naimet..aur kis kis naimet ko jhutlaya jaye..

mere Aaqa (sallalaho alaihay wa aalayhi wassallam)

hira ki goad..
apne 2jahan ke Aaqa (sallalahu alaihay wa aalayhi wassallam)
ke aansouN ki shafiq sarvat
samait kar ..ham se poochti hai ke..

ay woh logo! ke jinnki khatir Khuda ke Mehboob ne hamesha
guhar lutaye hein aansouN ke
woh aik aansoo..ke jisski qeemat
jahaan sara bhi de na paye

woh aik feroz bakht qatra
ke jo harawal hai rehmatoN ka..

woh jisske sadqe mein zindagi ne tumhari jaanib
bahaar lamhoN ke khool rakhe hein sabb dareechay

kabhi ye socha hai tumne logo?!!
ke ehl ho bhi iss ashk ke tum ..
k jo Habeeb e Khuda ki chashm-e-haseeN mein utra
phir aise kitne hi aansoo aaye tumhari khatir
iss aankh mein jo..
Khuda-e-Bartar ki azmatoN ke jamil jalwoN ka aashiyaaN thi..

kabhi yeh socha bhi hai kisi ne?!!
uss aik aansoo ka haq kisi se adaa hua hai?

kabhi yeh poocha hai tumne khud se?
ke uss ke la'iq bhi tumne khud ko bana liya hai?


nidamatoN se jhuki hui gardaneiN hamari
arooq-e-sharmindagi mein gharqaab apne paikar..

sawaal ki pur-jamal sachaiyoN ke maqrooz ho gaye hein....