ajal in sey mil
ajal, in say mil
keh ye sada dil
na ahle salaat
aur na ahle sheraab
na ahle adab aur na ahle hisaab
na ahle kitaab.......
na ahle kitaab aur na ahle masheen (machine)
na ahle khala aur na ahle zameen
faqat bay`yaqeen
ajal` in say mut ker hijaab
ajal` in say mil
baRho, tum bhi aagay baRho
ajal say milo
baRho, nau`tawanger gadaao
na kashkol`e dryooza ch`hupaao
tumhain zindagi say koi rabt baqui nahi
ajal say hanso aur ajal ko hansaao
baRho, bundgaane zamana, baRho bundgaane dirham
ajal, ye sub insaan munfi hain
munfi zeyada, insaan kum
ho in per nighae karam!
Death, embrace these men
Death, embrace these men
These naive, simpletons
Neither do they pray
nor do they drink
niether they know the word
Nor the numerals
Neither any book
Neither any book nor any craft
Niether they know the space nor the earth
Simple faithless
Death! be not shy of them
Death, embrace them.
Move forward, you too
move forward embrace Death
You noveau-riche mendicants
Hide not your begging-bowls
Nothing do you have to do with Life
Smile alongwith Death
Hasten forward ye temporal slaves
Move! you dogs of the dollar
Death! negated-humans are all these
More negated, less human
Cast on them a loving look.
یہ خود اپنی دریافت کا سفر ہے۔۔۔ تاریک گوشے میں بیٹھ کر روشن دنیا کو دیکھنے کا عمل۔۔۔
Friday, October 30, 2009
Saturday, October 17, 2009
andhairay ke paar kya hai !
iss andhairay ke paar kya hai?
koi mujhe roshni la de
tou mai iss andhairay mein utar ke dekhon...
koi mujhe roshni la de
tou mai iss andhairay mein utar ke dekhon...
Monday, September 14, 2009
learn to fly
Lost-Soul-Trying-To-Find-My- Way.I have been on a path, but don't know where I was going, or where I want to go. "An...d I'm looking to the sky to save me Looking for a sign of life Looking for something to help me burn out bright" Only I can find the way to go.. so nows the time to find it in my heart what I want and learn to fly without any assistance..
lamha e mojood
ham sabb sirf lamha e mojood mein zinda hein.....jo guzar gaya woh murda waqt ho gaya..jissay aana hai uski khabar nahin..
discovered
jhoot nahin bolna chahiye ..lekin her kisi ke saamne sach bhi nahin bolna chahiye...khaas tor pe jab woh sach apne baray mein ho..
Saturday, September 5, 2009
Thursday, August 27, 2009
I wonder why!
You were born with wings. Why prefer to crawl through life?
-Rumi
( but wht of those whose wings hv been broken?)
-i wonder why series
Tuesday, August 18, 2009
hawis
hawis.. paise ki ho,tawajjo ki ,taqat ki,ikhtiyar ki ya mohabbat ki... khwaar karti hai.. na sirf khud uss insaan ko balke uske ird gird ke logon ko bhi,mahool ko bhi
Saturday, August 15, 2009
sirf aik soch!
tarraqi ki bunyad aksar "zarooratien " hoti hein ya curiosity (ke jo basic human instinct hai)..
aik tarraqi rooh ki bhi hoti hai..jisski bunyad aimaan hai..aur aimaan ka sutoon sabr(tawakkul aur qana'at jisske phal hein)..
baat yeh hai ke deen ke piper ko follow kiya jaye tou raah mein khawhishien(ja'iz) aati hien..magar khawhish/nafs ke piper ko follow kiya jaye tou raah mein deen nahin aata..
faisla hamara hota hai ke follow kisko karna hai aur kaisi 'tarraqi' karna hai..

Wednesday, August 5, 2009
bardasht aur aazmaish
kaheen parha tha ke Allah jiss parr nazar karte hein usse aazmaish mein daal daite hein,phir woh uss aazmaish mein pora utre tou usse pasand karte hein,dost rakhte hein,mohabbat karte hein..aur jiss se mohabbat kare Allah..zahir hai usss se naraz nahin hoga,moun nahin morray ga,aag mein nahin daalay ga.."qabil" woh nahin hote jinn pe aazmaish aaye.."qabil" woh hote hein jo aazmaish mein pora utar sakien..jabb sawal 'bara' ho tou uss 'bari cheez'..yani Allah ki raza ..ke qabil khudko saabit karna bhi zaroori hai..ta ke "inkar karne walon" ke liye hujjat na rahe..khud quran kehta hai ke innhon ne kaise samajh liya ke yeh kahein ge ke 'ham aimaan laaye' aur phir yeh aazmaye na jaaien ge..aur yeh bhi ke..aazmaye jaaien ge bhook se,aur khouf se,jaan aur maal mein kami se..
Allah apne bandoN ko unki bardasht se barh ke nahin aazmate magar Allah apne bandoN ki bardasht bhi nahin aazmate.....
Allah apne bandoN ko unki bardasht se barh ke nahin aazmate magar Allah apne bandoN ki bardasht bhi nahin aazmate.....
Thursday, July 30, 2009
aulaad
aulaad aaina hoti hai aur iss aainay mein apni soorat achi dekhai na de tou ghour ka muqaam hai..
-Riffat Siraj
-Riffat Siraj
Saturday, July 25, 2009
just thinking
If choice would have been given to become one of the elements instead of being human.. I would have chosen air... so humble and yet so powerful....
Friday, July 24, 2009
just a thought
most of us do not listen with the intent to understand..we listen with intent to reply..
Saturday, June 27, 2009
sabr aur hosla
jo kaam ya baatien ikhteyar se bahir hon ,woh sabr ko aazmati hein..jo kaam ya baatein hamaray ikhteyar mein hon woh hamaray hoslay ko aazmati hain...
Tuesday, May 19, 2009
just thinking
dunya rehne ki koi achi j agah nahin hai......
this world is not a better place to live....
this world is not a better place to live....
Monday, May 4, 2009
sabse bara Baadshah
"baadshah jabb bastiyon mein daakhil hote hein tou innhein ujarte aur maazi ke sabb nishaan mita daite hein..phir Allah jo sabbse bara badshah hai,uss diyaar mein kaise abaad ho,jahan pehle hi hazaar maa'bad hon..hirs o hawis ke falak boss mehel..adnaa aarzoun aur tamannaoun ke mainaar... apne dilon ko khali karr lo,aisa wairana ke Allah ki yad ke siwa koi chiragh na jagmagata ho,phir Woh aaye ga aur qayyaam kare ga..Woh zameenon aur aasmanon mein sama nahin sakta magar momin ke qalb mein sama jata hai."
Shiekh Abdul Qadir Jailani R.A.
Shiekh Abdul Qadir Jailani R.A.
Friday, April 10, 2009
sabr
sabr aazadi hai her khawhish se aazadi..
aur hamari tamanna hamari aaqa hai..jitna zabardast aaqa ho ghulam ko utna hi farmaNbardar hona parta hai..
aur hamari tamanna hamari aaqa hai..jitna zabardast aaqa ho ghulam ko utna hi farmaNbardar hona parta hai..
Thursday, April 9, 2009
"mai"
kya hai ham mein se aksar pe paas..borrowed intelligence aur isska takabbur.."ham jaante hein " ka naa'ra.. aur iss zu'm ke baad mazeed jaan-ne seekh laine ki kya gunjaish?..sabb daleelien bekaar,bemaani..ham jaantay hein,tum nahin jaantay.ham nek,tum badd.ham theek,tum ghalat.ham paidaishi paak,tum nijs..ham "hein",tum "nahin ho".yeh ke "mai" ne dunya aur deen ko jaisa samjha sabb theek so "tum" pe laazim hai ke meri baat tasleem karo..merekahe pe sarr jhukao..kyun ke "mai" ne aisa samjha..iss liye yeh theek hai..ghalati ki gunjaish nahin..samajhne ki gunjaish nahin..sabr nahin,bardasht nahin..dosre ki baat sun-nay ka takalluf bhi nahin,taslim karna doar ki baat..ghalati ki darusti tabb hi ho sakti hai jabb ghalati ka ehsaas ho..aur yeh ehsaas ke "ham" se koi ghalati bhi ho sakti hai..hidayet unnhi ko milti hai jo hidayet paana chahte hoon..aur jo apne zu'm mein "sabhi kuch" hoon..woh "kuch nahin" hote..
gham
sehte sehte khulta hai ke khua kitna dana-o-bina insaan ho..kitna hi bahadur aur ba-himmat ho..ghamoN ki dhoop mein jalte jalte ..haq kehne wali zuban aur sabr ki takeed karte kuch lafzon ki chaaouN darkaar hoti hai..koi aik khuloos ka rishta jo yaqeen aur aitemaad ki inteha pe khuloos aur apnaiyet ka ehsaas dilata ho.. tabb hi tou dukh ke pahaar kaat ke raasta nikalta hai..tabb hi tou zindagi ka bojh halka lagta hai..ranj-o-gham tou her insaan ke liye hai..kaheen kam kaheen zyada..yehi tou khumar-e-gandum ka taryaaq hai.. kaat hai.. aur gham se nidhaal insaan ki zaroorat..haq bolne wali zuban aur sabr ki takeed kate lafz..warna woh gandum khanay se bara gunaah kar baithe..yani haram maut marr jaye..ehsaas-e-tanhai se pagal ho karr..
~Rifat Siraj
~Rifat Siraj
Monday, April 6, 2009
sharr
aik Hadees e Rasool sallalahu alaihay wa aalayhi wassallam nazr se guzri..mafhoom.. "dosroN ko apne sharr se bachao ,yeh bhi aik tarah ka sadqa hai"..
'apna shar'..abb yeh yahan kaun maanta hai ke hamaray qoul aur amal mein kaheen "sharr" bhi hai.. aur her insaan mein sharr aur khair tou hai hi..kisi mein kam kisi mein zyada.. mukammal khair tou sirf Nabiyon aur PaighambaroN (alayhay salam) ki zaat hua karti hai.. aur "kamil khair"..mojassam rehmet hamaray Nabi sallalahu alayhay wassallam..
baki ..taslim kya jaye ya nahin..her kisi ki zaat mein sharr ka kuch hissa tou shamil hai hi..jhoot,hasad, sabb hi negative feelings sharr hi hien..aur dosron ko iss se bachana..hamara,hamari zaat ka sadqa.. hidden blessings..
apne hi maaN baap ko mohabbat ki nazr se dekh laina bhi neki.. bhai se muskura ke milna,muskurahat bhi sadqa..chotti chotti baaton pe marks milte jatay hein ..aur kat-te bari bari baatoN pe hien..yehi bhi naimet..aur kis kis naimet ko jhutlaya jaye..

mere Aaqa (sallalaho alaihay wa aalayhi wassallam)
hira ki goad..
apne 2jahan ke Aaqa (sallalahu alaihay wa aalayhi wassallam)
ke aansouN ki shafiq sarvat
samait kar ..ham se poochti hai ke..
ay woh logo! ke jinnki khatir Khuda ke Mehboob ne hamesha
guhar lutaye hein aansouN ke
woh aik aansoo..ke jisski qeemat
jahaan sara bhi de na paye
woh aik feroz bakht qatra
ke jo harawal hai rehmatoN ka..
woh jisske sadqe mein zindagi ne tumhari jaanib
bahaar lamhoN ke khool rakhe hein sabb dareechay
kabhi ye socha hai tumne logo?!!
ke ehl ho bhi iss ashk ke tum ..
k jo Habeeb e Khuda ki chashm-e-haseeN mein utra
phir aise kitne hi aansoo aaye tumhari khatir
iss aankh mein jo..
Khuda-e-Bartar ki azmatoN ke jamil jalwoN ka aashiyaaN thi..
kabhi yeh socha bhi hai kisi ne?!!
uss aik aansoo ka haq kisi se adaa hua hai?
kabhi yeh poocha hai tumne khud se?
ke uss ke la'iq bhi tumne khud ko bana liya hai?
nidamatoN se jhuki hui gardaneiN hamari
arooq-e-sharmindagi mein gharqaab apne paikar..
sawaal ki pur-jamal sachaiyoN ke maqrooz ho gaye hein....

Subscribe to:
Posts (Atom)